Ishq-e-Bayaan – Poem by Kiran Singh – Bihar, India

Ishq-e-Bayaan – Poem by Kiran Singh – Bihar, India

Ittifaq se dikha, mujhe laga ajnabi hai tu,
Pehli nazar mein hi dil mein bas gaya, jaane kya hai tu,
Mera ishq-e-haqeeqi, mera Khuda hai tu,
Meri har dua ka jaise ek silsila hai tu.

Zamaane se chhupkar tujhe nihaara karte hain,
Tere deedaar ko dar-ba-dar maara-maara phirte hain,
Fajr ki namaaz mein duaon mein tujhe maanga karte hain,
Ai sanam, tujh par apni jaan nisaar karte hain.

Kabhi sochte hain apni mohabbat ka izhaar karein,
Apne darmiyaan ke is rishte se tujhe aagaah karein,
Khuda jaane kab humein ye himmat aayegi,
Na jaane ye ishq ki talab aur kitna sataayegi.

Kabhi darakht par chadhkar tujhe khoja karte hain,
Kabhi kheton ki ghaas mein chhupkar tujhe dekha karte hain,
Kabhi tere darwaaze par dastak diya karte hain,
Phir bhi tu na samjhe—hum kis tarah mohabbat kiya karte hain.

Hamaari khaamoshi mein bhi ishq ki zubaan hai,
Hamaari har nazar mein tera hi armaan hai,
Tu saamne ho to dil ko kahaan aaraam hai,
Tu samjhe ya na samjhe—yahi hamaara ishq-e-bayaan hai.

Gurkmahki text

इत्तिफ़ाक़ से दिखा, मुझे लगा अजनबी है तू,
पहली नज़र में ही दिल में बस गया, जाने क्या है तू,
मेरा इश्क़-ए-हक़ीक़ी, मेरा ख़ुदा है तू,
मेरी हर दुआ का जैसे एक सिलसिला है तू।
ज़माने से छुपकर तुझे निहारा करते हैं,
तेरे दीदार को दर-ब-दर मारा-मारा फिरते हैं,
फ़ज्र की नमाज़ में दुआओं में तुझे माँगा करते हैं,
ऐ सनम, तुझ पर अपनी जान निसार करते हैं।
कभी सोचते हैं अपनी मोहब्बत का इज़हार करें,
अपने दरमियाँ के इस रिश्ते से तुझे आगाह करें,
ख़ुदा जाने कब हमें ये हिम्मत आएगी,
न जाने ये इश्क़ की तलब और कितना सताएगी।
कभी दरख़्त पर चढ़कर तुझे खोजा करते हैं,
कभी खेतों की घास में छुपकर तुझे देखा करते हैं,
कभी तेरे दरवाज़े पर दस्तक दिया करते हैं,
फिर भी तू न समझे—हम किस तरह मोहब्बत किया करते हैं।
हमारी ख़ामोशी में भी इश्क़ की ज़ुबान है,
हमारी हर नज़र में तेरा ही अरमान है,
तू सामने हो तो दिल को कहाँ आराम है,
तू समझे या न समझे—यही हमारा इश्क़-ए-बयाँ है।
Kiran Kumari - Portrait - Poet

Kiran Kumari – Portrait – Poet

You may also like...