Zindan ki ek Shaam – Faiz Ahmed Faiz’s Urdu Poem

Zindan ki ek Shaam – Faiz Ahmed Faiz’s Urdu Poem

 

 

 

zindan ki ek shaam - faiz ahmed faiz urdu poem

zindan ki ek shaam – faiz ahmed faiz urdu poem

Zindan ki ek Shaam - Faiz Urdu Poem-2

Zindan ki ek Shaam – Faiz Urdu Poem-2

 

شام کے پیچ و خم ستاروں سے

زینہ زینہ اُتر رہی ہے رات

یوں صبا پاس سے گزرتی ہے

جیسے کہہ دی کسی نے پیار کی بات

صحنِ زنداں کے بے وطن اشجار

سرنگوں ،محو ہیں بنانے میں

دامنِ آسماں پہ نقش و نگار

شانۂ بام پر دمکتا ہے

مہرباں چاندنی کا دستِ جمیل

خاک میں گھل گئی ہے آبِ نجوم

نور میں گھل گیا ہے عرش کا نیل

سبز گوشوں میں نیلگوں سائے

لہلہاتے ہیں جس طرح دل میں

موجِ دردِ فراقِ یار آئے

دل سے پیہم خیال کہتا ہے

اتنی شیریں ہے زندگی اس پل

ظلم کا زہر گھولنے والے

کامراں ہو سکیں گے آج نہ کل

جلوہ گاہِ وصال کی شمعیں

وہ بجھا بھی چکے اگر تو کیا

چاند کو گل کریں تو ہم جانیں

فیض احمد فیض

 

Sham Ke Paich-O-Khum Sitaaron Se
Zeena Zeena Utar Rahi Hai Raat
Yoon Saba Pas Se Guzarti Hai
Jaise Keh Di Kissi Ne Pyaar Ki Baat
Sehn-e-Zindan Ke Be-Watan Ashjaar
Sar-Nigoon Mehew Hain Banane Mein
Daman-e-Asman Pe Naqsh-o-Nigar
Shaana-e-Baam Par Damakta Hai
Mehrbaan Chandni Ka Dast-e-Jamil
Khak Mein Ghul Gai Hai Aab-e-Nujum
Nur Mein Ghul Gaya Hai Arsh Ka Neel
Sabz Goshon Mein Nil-Gun Sae
Leh Lahate Hain Jiss Tarah Dil Mein
Mauj-e-Dard-e-Firaq-e-Yar Aae
Dil Se Paiham Khayal Kahta Hai
Itni Sheerin Hai Zindagi Is Pal
Zulm Ka Zahr Gholnay Wale
Kaamran Ho Sakenge Aaj Na Kal
Jalwa-Gah-e-Visaal Ki Shamen
Wo Bujhha Bhi Chuke Agar To Kya
Chand Ko Gul Karen To Hum Jaanen

 

You may also like...